Wednesday, February 1, 2012

Dear... Sorry....

            Log kahte hai,friendship me,'no sorry', no thank u', magar mai samajhti hu in words ke use karne se relation me pyar aur bad jata hai. mai in words ko value dena pasand karti hu. koi friend aap se naraz ho, agar aap usko sorry bolte hai to, narazgi chutki me khatm, aur aapka bhi dil ka bhojh thoda kam ho jata hai.
            Mai bhi bahot baar gussa ho jati hu, gusseme kya kya bolo hai kuch yaad nai rahta hai, magar gussa thanda hone ke baad sorry bolna hamesha yaad rahta hai. aur koi sorry bola bhi to, mai sab kuch bhul jati hu. mere aas pass bahotse achhe log hai jo mujhe samajhte hai aur mujhe hamesha sambhaal lete hai, jaise ki mere husband.
            Jaise 'sorry' ka use hai waise hi 'thank u' ko bhi baar baar use karna zaruri hai. isse koi aapki feelings ki kitni kadr karta hai ye pata chalta hai. in do words ki wajahse aapki image change ho jati hai. ye words bahot chote hai, magar har kisike mu se nai nikalte.
            Aise bahotse log hai, jinko ye words bolna unke ego ke khilaf hota hai. wo na kisiko sorry bolenge na, thank u. magar agar koi unko 'thank u' ya 'sorry' bolenge to bahot khush ho jate hai. koi koi zabardasti 'sorry' bulwa lete hai :) , par 'sorry' wahi hoti hai jo dilse nikalti hai.
            Anyways, mai mere husband ko 'thank u' bolna chahungi kyunky wo mujhe bahot pyar karte hai aur 'sorry' bhi bolungi jo mai galtiya karti hu aur wo hamesha maaf karte hai uskeliye.

No comments:

Post a Comment