Saturday, January 28, 2012

KHUD-KHUSHI

   mere husband hamesha bola karte the,dusro ke khushi ke liye karnese pahle apni khushi ke liye karo.iss duniya me kitne aise log hai jo khud liye ke liye kuch karte hai.?
  chalo shuru se start karte hai,chote se bade hote  hai parents se order par,ye mat pado,ye mat pahno,yaha mat jao,waha mat jao.education line select karne ke liye,shadi ke liye.shadi ke baad in laws ka suno.
   hum hamesha ye sochte hai ke bado ki baat manni chahiye to wo humse khush rahenge.ye soch kar hum har baat mante rahte hai,sirf aur sirf unke khushi ke liye.
    iss 21st century me ,aaj kal ki generation me ye rare hai,hum bhi issi ka ek hissa hai fir hum un jaise kyu nai ho sakte,apni marzise hum kyu jee nai sakte.mai ab iss 30 saal ki jail se bahar nikalna chahti hu,wo sab karna chahti hu jo meri marzi ho.
    ye duniya sunanewalo ki hai,sunnewalo ko sunati hi hai,maine aise hote huwe dekha hai,dabne walo ko dabati hai.ab bas ho gaya.ab mai jo bhi karungi khud ki liye karungi,chahe usme dusoro kikhushi ho yaa na ho.            
        kabhi kisike khushi ke liye kuch nahi karungi,hamesha khud ke liye `````````````karungi.kuch bura huwa to uski zimmedar mai khud rahungi.iss me bahot satisfaction milta hai.apni marzi se life enjoy karne me maza hai,koi control nai,koi zabardasti nahi.jisko jo kahna hai kahne do.sabse importent baat hai KHUD-KHUSHI.thanks to my husband jinhone mujhe ye sikhaya hai.
       kisise kush expectation mat rakho,khud ko jo lagta hai wo karte raho,
   mai  ye isliye likh rahi hu ki,mera dil bahot dhukha hai,logo ki khushi ke liye karke mujhe sirf aanso ke siwa kuch nai mila hai.tarif to dur ki baat hai.shayad ye baat mujhe bahot pahle samajhni chahiye thi.
       i love my family

4 comments:

  1. Definitely marriage is like a compromise, but if only one person get to compromise everything all the time, it feels like your are trapped in a jail with door open.

    ReplyDelete
    Replies
    1. thanks Elvirah..
      but it seems you have all wrong ideas about marriage..

      Delete
  2. Aapne apne ek alag andaaz me ye jo baat khai hai, mujhe lagta hai ke ye ek misaal honi chaahiye har ek insaan ke liye jo duniya ke dabaao me phasa hai.
    Bohat khoob likha hai. Shukriya.

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you..
      har insaan ke saath alag alag halat rehte hain. halat ke saath uske soonch banti hai. zaroori nahi ki meri soonch sab ki soonh ho.

      Delete