Monday, May 7, 2012

Sabar

             Hum me se bahot se log sabar rakhte hai. sabar yani patience. patience yani apne feelings  par control.  bure time me ya gusse me ye zyada kaam aata hai - ye bahot achhi cheez hai par ye difficult bhi bahot hai.  har kisiske bas ki baat nahi hai.
            Hum patience rakhte hai ki baat zyada na bade, ya kisiko hurt na ho par iska ye matlab nahi ke hum kuch kar nahi sakte, ya humari kuch galati hai to khamosh hai. par patience ki bhi har insaan ki ek had hoti hai,  koi isko cross kiya ye samajh kar ki hum hamesha khamosh hi rahte hai, to waha us patience ki had khatam ho jaye gi, aur jo nahi hona chahiye wo ho jayega. after all har insaanme ek shaitan basta hai. is shaitan ko zyada der tak control me nahi rakh sakte.
             Aisa kahte hai ki ladies me gents se zyada patience rahta hai. achhai ko samjhna chahiye, uski value rakhna chahiye. koi sabar (patience ) kar raha hai to usko zyada satana nahi chahiye. aur jo sabar rakhta hai use apne sabar ki limlits ko aur bada dena chahiye. patience ki hamesha jeet hoti hai.             

2 comments:

  1. Here's something which you may like dear :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanx for the link. ye mere blog-post ko compliment karta hai

      Delete